dida-o-danista dhoka kha gae hum fareb-e-zindagi mein aa gae jab hujum-e-shauq se ghabra gae kho gae khud aur tum ko pa gae chain bhi lene nahin dete mujhe main abhi bhula tha phir yaad aa gae main kahan jaun nazar ko kya karun aap to sari faza par chha gae dil hi dil mein uf wo dard-e-na-gahan aankhon hi aankhon mein kuchh samjha gae rukh se aanchal bhi na sarka tha abhi nichi nazren ho gain sharma gae uf ye ghunchon ka tabassum ye bahaar haif agar ye ghunche kal murjha gae jis qadar ghunche khile the nau-ba-nau meri aankhon se lahu barsa gae puchhte kya ho in ashkon ka sabab waqiat-e-rafta phir yaad aa gae ab to shor apna fasana khatm kar un ki aankhon mein bhi aansu aa gae