nalon se agar main ne kabhi kaam liya hai khud hi asar-e-nala se dil tham liya hai aazadi-e-andoh-faza se hai rihai ab main ne kuchh aaram tah-e-dam liya hai uthti thin umangen unhen badhne na diya phir main ne dil-e-nakaam se ek kaam liya hai juz mashghala-e-nala o fariyaad na tha kuchh jo kaam ki dil se sahar o sham liya hai khud puchh lo tum apni nigahon se wo kya tha jo tum ne diya main ne wo paigham liya hai tha tera ishaara ki na tha main ne diya dil aur apne hi sar jurm ka ilzam liya hai gham kaise ghalat karte judai mein teri hum dhunda hai tujhe hath mein jab jam liya hai aaram ke ab nam se main darne laga hun taklif uthai hai jab aaram liya hai malum nahin khub hai jo waqif-e-fan hain 'wahshat' ne mahakat se kya kaam liya hai