nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin kab aasman zamin o zamin aasman nahin aankhon se dekh kar tujhe sab manna pada kahte the jo hamesha chunin hai chunan nahin us bazm mein nahin koi aagah-e-dard kab wan khanda zer-e-lab idhar ashk-e-nihan nahin afsurda-dil na ho dar-e-rahmat nahin hai band kis din khula hua dar-e-pir-e-mughan nahin lab band hon to rauzan-e-sina ko kya karun thamta to mujh se nala-e-atish-inan nahin milna tera ye ghair se ho bahr-e-maslahat hum ko to sadgi se teri ye guman nahin ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein ek jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin be-waqt aae dair mein kya shorishen karen hum pir o pir-e-mai-kada bhi naujawan nahin katti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq shayad ki gardish aaj tujhe aasman nahin 'azurda' hont tak na hile us ke ru-ba-ru mana ki aap sa koi jadu-bayan nahin