nam 'akbar' to mera man ki dua ne rakkha han bharam us ka magar mere khuda ne rakkha wo bhi din tha ki tere aane ka paigham aaya tab mere ghar mein qadam baad-e-saba ne rakkha kis tarah logon ne mangin thin duaen us ki kuchh lihaz is ka na be-mehr hawa ne rakkha aise haalat mein ek roz na ji sakte the hum ko zinda tere paiman-e-wafa ne rakkha ittifaqat ke pichhe bhi hain asbab-o-ilal ek na ek apna sabab dast-e-qaza ne rakkha jis ne rakkha teri mitti hui qadron ka lihaz kuchh khayal is ka nahin tu ne zamane rakkha sirf 'akbar' hi nahin dekh ke taswir hua sab ko hairan tere naqsh-e-kaf-e-pa ne rakkha