raat aai hai bachchon ko padhane mein laga hun khud jo na bana un ko banane mein laga hun wo shakhs to rag rag mein meri gunj raha hai barson se gala jis ka dabane mein laga hun utra hun diya le ke nihan-khana-e-jaan mein soe soe aaseb jagane mein laga hun patthar hun to shishe se mujhe kaam pada hai shisha hun to patthar ke zamane mein laga hun fankar ba-zid hai ki lagaega numaish main hun ki har ek zakhm chhupane mein laga hun kuchh padhna hai kuchh likhna hai kuchh rona hai shab ko main kaam sar-e-sham chukane mein laga hun aise mein to ab sabr bhi mushkil hua 'akbar' sab kahte hain main us ko bhulane mein laga hun