nam hui chashm-e-wafa raaz-e-mohabbat khul gaya aakhirash band-e-qaba-e-zabt-e-ulfat khul gaya jab dil-e-wahshi nigah-e-naz ka markaz bana haal duniya par tera ai jazb-e-wahshat khul gaya shah-rah-e-arzu par do qadam chalne ke baad husn-e-qismat se dar-e-zindan-e-ulfat khul gaya jhuk gaya fart-e-nadamat se gunahgaron ka sar ho gai chashm-e-inayat bab-e-rahmat khul gaya dastan-dar-dastan thi zindagi insan ki dekhte hi dekhte rang-e-haqiqat khul gaya ek jadui-nazar ke ho gae lakhon shikar dil ki girhen kya khulin ramz-e-shahadat khul gaya jab faraaz-e-arsh par udi ghata chhai 'saba' bab-e-mai-khana ba-eajaz-e-mashiyyat khul gaya