nahin roze se hain to kya adakari to karni hai

nahin roze se hain to kya adakari to karni hai
amir-e-shahr ki dawat hai iftari to karni hai

kahan hai sherwani aur topi laiye begam
abhi din hai magar pahle se tayyari to karni hai

abhi baqi hai kuchh logon mein jo iman-dari ki
kisi bhi tarah se wo dur bimari to karni hai

kisi bhi tarah rishwat de ke pakki naukri kar lo
miyan duty tumhein le de ke sarkari to karni hai

jahan par lomdi ki tarah har chehre nazar aae
wahan thodi bahut hum ko bhi ayyari to karni hai

agar insaf bhi majruh hota hai to hone do
hamein apne qabile ki taraf-dari to karni hai

mere malik mere aaqa main banda aap ka lekin
mila hai hukm upar se giraftari to karni hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close