nam se gandhi ke chiDh bair aazadi se hai

nam se gandhi ke chidh bair aazadi se hai
nafraton ki khad hain ulfat magar khadi se hai

aalimon ka ilm se wo rabt hai is daur mein
rabt dhobi ke gadhe ka jis tarah ladi se hai

khwab-e-ghaflat se wahi nisbat hai meri qaum ko
aashiqon ka jo talluq dil ki barbaadi se hai

shauharon se bibayan ladti hain chhapa-mar jang
rabta un ka bhi kya kashmir ki wadi se hai

dekhna hai ab yahi deta hai kis ko kaun mat
samna janta ka phir kursi ke fariyaadi se hai

jaise sayyaadon ko sayyaadi se rahti hai gharaz
kaam ustadon ko waise apni ustadi se hai

bap dada ke hi nuskhe mein hai apni bhi shifa
hum ko derina talluq khana-damadi se hai

sharm se hota nahin hai wasta be-sharm ko
jo mukhannas ho use kya wasta shadi se hai

doston ki dosti dekhi hai jab se ai 'zafar'
ishq virane se hai to wahshat aabaadi se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close