bakht jage to jahan-dida si ho jati hai shakhsiyat aur bhi sanjida si ho jati hai go hama-waqt nai lagti hai duniya lekin shai purani ho to bosida si ho jati hai kaun hai wo ki jise mund lun aankhen dekhun aankh khul jae to poshida si ho jati hai khel hi khel mein ladki wo shararat wali baat hi baat mein sanjida si ho jati hai main wo aazar na tarashun koi murat lekin jis ko chhu lun wo tarashida si ho jati hai yaad aate hain mujhe 'mir' ke ashaar 'zafar' jab tabiat meri ranjida si ho jati hai