nama dildar tak nahin pahuncha haal-e-dil yar tak nahin pahuncha wo bhi mear tak nahin pahuncha sach abhi dar tak nahin pahuncha phul ka rang khub tha lekin tere rukhsar tak nahin pahuncha us ko taklif ki khabar kya ho panw jo khar tak nahin pahuncha khair guzri ki aaj qatil ka hath talwar tak nahin pahuncha kab mera karwan zamane mein rah-e-dushwar tak nahin pahuncha fikr thi sab ko apne chehron ki koi kirdar tak nahin pahuncha teri rahmat se be-khabar hi raha jo gunah-gar tak nahin pahuncha dil-e-betab tera afsana nigah-e-yar tak nahin pahuncha zer-e-diwar main jahan baitha saya diwar tak nahin pahuncha