namak ki roz malish kar rahe hain

namak ki roz malish kar rahe hain
hamare zakhm warzish kar rahe hain

suno logon ko ye shak ho gaya hai
ki hum jine ki sazish kar rahe hain

hamari pyas ko rani bana len
kai dariya ye koshish kar rahe hain

mere sahra se jo baadal uthe the
kisi dariya pe barish kar rahe hain

ye sab pani ki khali botalen hain
jinhen hum nazr-e-atish kar rahe hain

abhi chamke nahin 'ghaalib' ke jute
abhi naqqad polish kar rahe hain

teri taswir, pankha, mez, muflar
mere kamre mein gardish kar rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close