khat adhure the magar wo chitthiyan achchhi lagin kaghazon se hi sahi nazdikiyan achchhi lagin zikr mein bhi nam un ka hum na le pae kabhi pyar mein in bandishon ki chuppiyan achchhi lagin raat bhi khamosh thi aur chand bhi ghamgin tha aankh mein dore liye wo surkhiyan achchhi lagin chaak khud hi ho gai is bagh ke hi baam par uf talak na kar sakin jo titliyan achchhi lagin phul shakhon par palak nam os se karte rahe par hamein to khar ki wo barchhiyan achchhi lagin aasman ne dhup ki jab gungunai hai ghazal wo hamein nur-e-sahar ki sardiyan achchhi lagin pattharon mein bandh kar ke phenkna chhat par meri raat mein aati hui wo parchiyan achchhi lagin