namus-e-wafa ka pas raha shikwa bhi zaban tak la na sake andar se to roe tut ke hum par ek bhi ashk baha na sake sahil to nazar aaya lekin tufan mein bala ki shiddat thi maujon ko manaya lakh magar hum jaanib sahil aa na sake hum kahte kahte haar gae aur duniya ne kuchh bhi na suna jab duniya ne israr kiya hum apna dard suna na sake kab hum ne gulistan chaha tha kab hum ne bahaaren mangin thin ek gul ki tamanna thi hum ko wo bhi to chaman mein pa na sake