main use sochta raha yani wo mera khwab hai khuda yani hijr se hijr tak thi ye hijrat wo mila yani kho gaya yani gardish-e-mehr-o-mah ka hasil yani mera wajud la-yani dil kahan shahsawar-e-duniya tha so gira gir ke mar gaya yani to mujhe us ka nam bhul gaya ho gaya main bhi lapata yani kaam ki baat puchhte kya ho kuchh hua kuchh nahin hua yani chalte rahiye to sukh jaega ye samundar ye aabla yani yani tum se to main mila hi nahin wo koi aur shakhs tha yani koi aawaz tutne ki nahin dil mein ek baat hai khala yani us ko khush dekh kar wahan 'babar' main bhi khush tha udas tha yani