nange panw ki aahat thi ya narm hawa ka jhonka tha pichhle pahar ke sannate mein dil diwana chaunka tha panchon hawas ki bazm saja kar us ki yaad mein baithe the hum se puchho shab-e-judai kab kab patta khadka tha aur bhi the us ki mahfil mein baaten sab se hoti thin sab ki aankh bacha kar us ne hum ko tanha dekha tha duniya to duniya hi thahri rang badalti rahti hai dukh to ye hai dhyan kisi ka ghatta badhta saya tha kaisa shikwa kaisi shikayat dil mein yahi socho 'jawed' tum hi gae the us ki gali mein wo kab tum tak aaya tha