naqab rukh se kisi ne uthae hain kya kya dil-o-nigah mein jalwe samae hain kya kya wo aa rahe hain wo aae wo ham-kalam hue tasawwuraat ki mahfil sajae hain kya kya har imtihan mein hamin ek kaamyab hue rah-e-wafa mein qadam dagmagae hain kya kya nigah-e-naz utha dekh dil-figaron ko teri janab mein saughat lae hain kya kya dil-o-nazar ka andhera kisi tarah na gaya charagh-e-dair-o-haram jagmagae hain kya kya jigar ka dagh khalish dil ki karb aankhon ka dayar-e-husn se inam pae hain kya kya isi liye to meri shaeri ke charche hain hikayat-e-dil-e-pur-khun sunae hain kya kya wufur-e-gham se bujhe ja rahe hain lala-o-gul hamare zakhm-e-jigar muskurae hain kya kya