un se kya rasm-o-rah kar baithe dil ki duniya tabah kar baithe ruk gaya hath mere qatil ka zer-e-khanjar jab aah kar baithe bewafai to un ki thi malum phir bhi hum un ki chah kar baithe rahmat-e-haq tere bharose par hum gunah par gunah kar baithe ru-e-taban ko dekh kar tere sar ko kham mehr-o-mah kar baithe sahn-e-gulshan hua khizan-bar-dosh hum qafas mein jo aah kar baithe sari duniya hui meri dushman wo jo mujh par nigah kar baithe ras aai na zist jab hum ko maut se rasm-o-rah kar baithe rahm kya khaen wo 'samia' mujh par qalb hi jab siyah kar baithe