naqab rukh se uthao bahut udas hai raat jamal apna dikhao bahut udas hai raat tasawwuraat mein aao bahut udas hai raat tarab ke naghme sunao bahut udas hai raat bahaar aai hai uttho zara chaman walo kali ko jam banao bahut udas hai raat urus-e-nau ki ghaneri siyah zulfon mein hasin sitare sajao bahut udas hai raat abhi to raat hai baqi abhi se fikr-e-sahar abhi na jao na jao bahut udas hai raat khusha nasib ki wo kah rahe hain ai 'paikan' koi ghazal to sunao bahut udas hai raat