naqsh daur-e-mazi ke zehn mein ubharte hain bhuli-bisri rahon se jab kabhi guzarte hain ang ang hansta hai zawiye nikharte hain jab wo muskuraate hain jab wo baat karte hain hum unhin pe jaan-o-dil bhi nisar karte hain apna haal-e-dil jin se arz karte darte hain is qadar na hota zan aarzi bulandi par udne wale tair ke baal-o-par katarte hain nashsha-e-jawani mein udte hain hawaon par aasman se niche kab wo panw dharte hain mehr-o-mah ki gardish mein dhundhte hain qismat ko apni apni karti par kam nigah karte hain jaur-o-jabr ka un ka silsila nahin tuta go wafaon ke hum ne sab usul barte hain kuchh sukun deti hain badliyan umidon ki yas-o-huzn ke tufan sar se jab guzarte hain 'mauj' bahr-e-ulfat mein lazmi hain ghawwasi gharq hone wale hi par bhi utarte hain