khushbuon ka shajar nahin dekha ek muddat se ghar nahin dekha rahguzar hum ne aisi chun li thi milon diwar-o-dar nahin dekha tum jo badle to kya ghazab badle hum ne aisa asar nahin dekha itni bojhal hui thi ye palken us ko dekha magar nahin dekha chand kaise zamin pe chalta hai jis ne us ko agar nahin dekha aaina hum se roz puchhe hai khud ko kyun ban-sanwar nahin dekha khat ko chuma usi ki khushbu thi khat ke andar magar nahin dekha tum se bichhde to kaise zinda hain tum ne ye soch kar nahin dekha