naqsh-e-dil hai sitam judai ka shauq phir kis ko aashnai ka chakhte hain ab maza judai ka ye natija hai aashnai ka un ke dil ki kudurat aur badhi zikr kijiye agar safai ka dekh to sang-e-astan pe tere hai nishan kis ki jabha-sai ka tere dar ka gada jo hai ai dost aish karta hai baadshai ka dukhtar-e-raz ne kar diya baatil mujh ko dawa tha parsai ka karte hain ahl-e-asman charcha mere nalon ki na-rasai ka kat dalo agar zaban pe mere harf aaya ho aashnai ka kar ke sadqe na chhod den 'nassakh' dil ko dhadka hai kyun rihai ka