taswir ke khutut wo shahkar bolte sab naqsh-ha-e-sanat-e-meamar bolte hain hum shish ghar mein apna sarapa na padh sake hasrat rahi ki aaine ek bar bolte tanhai ko mila hai wo eajaz-e-dard hai zindan ke dekhiye dar-o-diwar bolte kya kya na ghar jamal ke aabaad the yahan kis dukh se shahr-e-viran ke aasar bolte har baat mein uthata tha wo nuqta-e-guman hum kya the koi mahram-e-asrar bolte chup karti teri be-dili kya 'azm' nalon ko rahte jo hum khamosh to ashaar bolte