naqsh-e-pa us ka zer-e-zamin rah gaya

naqsh-e-pa us ka zer-e-zamin rah gaya
main falak tak bichhata jabin rah gaya

is ka matlab main sae ke hamrah tha
sham phaili to kuchh bhi nahin rah gaya

waqt ne ek pal ki bhi mohlat na di
jo jahan tha wahin ka wahin rah gaya

meri tamir par ek nazar aur bhi
ek nukta mere nukta-chin rah gaya

us ko jaana tha wo chal diya chhod kar
mujh ko achchha laga main yahin rah gaya

ai mere dida-war tu bata kaise main
bad-guman rah gaya be-yaqin rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close