naqsh-e-qadam mile jo tere chal ke sar se hum

naqsh-e-qadam mile jo tere chal ke sar se hum
aksar guzar gae hain teri rahguzar se hum

hain be-niyaz tandahi-e-chaaragar se hum
be-khud rahe inayat-e-dard-e-jigar se hum

samjhe jahan ko apna bade karr-o-far se hum
dekhe gae hamesha parai nazar se hum

naqsh-e-qadam se chimte teri rahguzar se hum
par teri did ko rahe tarse ke tarse hum

hum dekhte hain tum ko hamari nigah se
ghairon ko dekhte hain tumhaari nazar se hum

mahfuz kar le apne liye gham-gusariyan
sayyaad ba-khabar hain tere khair-o-shar se hum

tum ko samajh ke tum sitam apne pe dha liye
kis darje be-khabar hain hamari khabar se hum

allah shaikh ji ko tu jannat kare nasib
wabasta subh-o-sham rahen un ke dar se hum

late na tere ishq mein shikwe zaban par
aap apne ko samajhte agar peshtar se hum

hum tere ho ke bazm mein teri na rah sake
mahfil thi teri aankh si teri nazar se hum

ya par honge chir ke ya dub jaenge
sahil pe ruk na jaenge tufan ke dar se hum

nikli hui duaen abhi justuju mein hain
shayad baid-tar hain maqam-e-asar se hum

nazron se sab ki gir gae parwa na thi hamein
lekin ghazab hai girte hain apni nazar se hum

kya hashr hone wala hai dekhenge ai 'zaki'
baithe hain dil laga ke kisi fitna-gar se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close