ham-rang-o-ham-khayal mera dil nahin raha main dil ke aur dil mere qabil nahin raha nazr-e-nigah-e-naz hua dil nahin raha ab gham ye hai ki main kisi qabil nahin raha dard ek zara sa sahne ke qabil nahin raha dil naznin bana hai mera dil nahin raha dube na the to hasrat-e-sahil thi barqarar dube to phir takaffur-e-sahil nahin nahin tha kaun ba-wafa mujhe kis se umid thi hamdard ban ke dard raha dil nahin raha hun zindagi-e-gham ki gham-e-zindagi hun main ab jazba-e-khushi mere qabil nahin raha aa hi gaya tha khana-e-dil mein mere koi kambakht kaise waqt mera dil nahin raha gham aur khushi hain donon barabar mere liye jab ikhtiyar hi mein mera dil nahin raha bismil ka raqs dekh ke qatil tadap utha ab imtiyaz-e-bismil-o-qatil nahin raha parwana jal ke khak hua shama bujh gai ab aur koi raunaq-e-mahfil nahin raha itna qarib ho ke bhi tarsa karun tujhe shayad main teri did ke qabil nahin raha sahil ko apne chhod ke naw aage badh gai laute baghair phir koi sahil nahin raha gham ne 'zaki' dikhai hai wo rah-e-zindagi jina hamare waste mushkil nahin raha