naqsh guzre hue lamhon ke hain dil par kya kya mud ke dekhun to nazar aate hain manzar kya kya kitne chehron pe rahe aks meri hairat ke mehrban mujh pe hue aaina-paikar kya kya waqt katta raha mai-khane ki raaton ki tarah rahe gardish mein ye din raat ke saghar kya kya chashm-e-khuban ke ishaaron pe tha jina marna roz bante the bigadte the muqaddar kya kya panw uthte the usi manzil-e-wahshat ki taraf rah takte the jahan rah ke patthar kya kya rahguzar dil ki na pal-bhar ko bhi sunsan hui qafile gham ke guzarte rahe aksar kya kya aazrana the meri wahshat-e-dil ke sab rang sham se subh talak dhalte the paikar kya kya aur ab haal hai ye khud se jo milta hun kabhi khol deta hun shikayat ke daftar kya kya