palkon ki ot mein wo chhupa le gaya mujhe yani nazar nazar se bacha le gaya mujhe ab us ko apni haar kahun ya kahun main jit rutha hua tha main wo mana le gaya mujhe muddat se ek raat bhi apni nahin hui har sham koi aaya utha le gaya mujhe ho wapsi agar to inhen raston se ho jin raston se pyar tera le gaya mujhe ek jaan-dar lash samajhiye mera wajud ab kya dhara hai koi chura le gaya mujhe aawagaman ki qaid se kya chhutta kabhi bas tera pyar tha jo chhuda le gaya mujhe dharti ka ye safar mera jis din hua tamam jhonka hawa ka aaya uda le gaya mujhe tufan ke baad main bhi bahut tut sa gaya dariya phir apne rukh pe baha le gaya mujhe muddat ke baad 'nur' hansi lab pe aai hai wo apna ham-khayal bana le gaya mujhe