naqsh pani pe bana ho jaise

naqsh pani pe bana ho jaise
zindagi mauj-e-bala ho jaise

mujh se bach bach ke chali hai duniya
mere nazdik khuda ho jaise

koi tahrir mukammal na hui
mujh se har lafz khafa ho jaise

kis qadar shahr mein sannata hai
ab ke koi na bacha ho jaise

is tarah puj rahi hai duniya
koi mujh se bhi bada ho jaise

rah milti hai andheron mein mujhe
koi masruf-e-dua ho jaise

mujh ko aksar ye hua hai mahsus
koi kuchh puchh raha ho jaise

ghar se is tarah nikal aae 'amir'
koi dushman na raha ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close