tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas dhup mein chalte hue rakhte hain pani ka libas parda-poshi kam se kam hoti hai har kirdar ki pairahan lafzon ka banta hai kahani ka libas phir ujale se safar hoga andhere ki taraf jab utarenge badan se umr-e-fani ka libas sath chalte hain chahakte bolte ilzam bhi be-shikan hota nahin yaro jawani ka libas inqilab-e-waqt ka ye bhi karishma dekhiye hai numaish ke liye ab aan-jahani ka libas muflisi ne kar diya hai us ki khuddari ka khun wo pahanta hai kisi ki mehrbani ka libas hukmaran to dafn hain tarikh ke auraq mein dars-e-ibrat de raha hai hukmarani ka libas jagmagata hai ghazal ke jism par har daur mein maila hota hi nahin jadu-bayani ka libas chand saat bhi khushi ki apni qismat mein kahan ras kab aaya hai mujh ko shadmani ka libas 'ramz' wo ahd-e-ghulami ho ki daur-e-hurriyat ishtihaar-e-muflisi hindustani ka libas