naqsh tha aur nam tha hi nahin

naqsh tha aur nam tha hi nahin
yani main itna aam tha hi nahin

khwab se kaam tha wahan ki jahan
khwab ka koi kaam tha hi nahin

sab khabar karne walon par afsos
ye khabar ka maqam tha hi nahin

tah-ba-tah intiqam tha sar-e-khak
inhidam inhidam tha hi nahin

hum ne tauhin ki qayam kiya
is safar mein qayam tha hi nahin

ab to hai par hamare waqton mein
shisha-e-subh-o-sham tha hi nahin

wo to hum ne kaha ki tum bhi ho
warna koi nizam tha hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close