mein aashiq hun mujhe maqtal mein apna nam karna hai darega khanjar-e-qatil se kya wo jis ko marna hai madad kar ishq-e-sadiq jazb-e-kaamil mujh se mahzun ki shab-e-gham nala karna hai aur is ji se guzarna hai na phenko sang-e-khara par hifazat chahiye is ki ki rakh kar mirat-e-dil ru-ba-ru tum ko sanwarna hai ye jam-e-dida-e-hasrat bharunga ashk-e-khuni se mai-e-gulgun tujhe pir-e-mughan saghar mein bharna hai thahar ja bulbul-e-ghamgin kahan tak zari-o-shewan ki murgh-e-bostan-e-ishq ko bhi nala karna hai sarishk-e-chashm-e-pur-nam ki rawani se pareshan hun junun kya dida-e-hasrat hamara koi jharna hai 'jamila' safha-e-mahtab par lahra gae kale sitam in gesuon ka dosh par un ke bikharna hai