naqsh wo aankh mein utra tha ki jata hi na tha main ne is dhup ko dhalte kahin dekha hi na tha ruh ki pyas bujhae na bujhegi kisi dhang mujh ko is dasht ki pahnai mein ugna hi na tha pahle is ghar ki har ek khidki khuli rahti thi yun mila karte the jaise koi parda hi na tha ab jo insan hawaon mein uda phirta hai ye kabhi ped ke sae se nikalta hi na tha daud padta tha jahan ret se jalte the qadam sath dariya tha magar dar se utarta hi na tha aisi sardi mein wahan ja ke kahan sustae par naddi ke koi dhup ka khema hi na tha raat ka ped uga tha ki koi saya tha kya kahun hath laga kar use dekha hi na tha kitne aazad the barsat ke khud-raw nale apni duniya thi koi puchhne wala hi na tha hadisa aisa bhi pesh aaega mar jaunga khwab aisa to kabhi umr mein dekha hi na tha shairi ne mujhe insan banaya hai 'khalil' main wo shisha tha ki duniya se chamakta hi na tha