naqus ki sadaon se aur na azan se nafrat hai us ko mulk ke amn-o-aman se millat-farosh ko kisi millat se kya gharaz us ko to hai gharaz faqat apni dukan se chhalni jo kar gaya tha ayodhya ko ram ki nikla tha tir wo bhi usi ki kaman se apna bana ke aap ne ye kya ghazab kiya begana kar diya mujhe sare jahan se dil ko unhin se rah bhi hoti hai kuchh 'atiq' alfaz jo nikalte hain dil ki zaban se