main tere sang kaise chalun ham-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa tu kahan main kahan al-aman al-hazar tu samundar hai main sahilon ki hawa tujh se hai sab ye husn-e-jahan mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashan sar ba-sar tu harim-e-qamar main hazin-e-sahar tu samundar hai main sahilon ki hawa gah shorida-sar gah khamosh-tar tujh mein poshida hain raaz sab basta-sar tere lal-o-gohar aur main khak-sar tu samundar hai main sahilon ki hawa tu bahaaron ki ja tu libas-e-shajar main khizan ki sada main ghubar-e-safar tu numud-e-matar main hadis-e-digar tu samundar hai main sahilon ki hawa wusat-e-be-karan makhzan-e-sim-o-zar be-had-o-be-nishan teri har rah-guzar tu ba-hadd-e-nazar main kanar-e-safar tu samundar hai main sahilon ki hawa