narawa sabt kiya kun ka ishaara kar ke dekhna hai ye tamasha bhi dobara kar ke haq-pasandi ne kahan chain dilon ko bakhsha log ummid pe aae the sahaara kar ke maslahat pa ke muarrikh ne kiya dafn use log khush the unhin yaadon pe guzara kar ke chand tajir hain kuchh aashiq hain aur ek do shair dil ke bazar mein baithe hain khasara kar ke ek laqab de ke use nam-o-nishan chhin liya ishq ka qais ne ye naqsh ubhaara kar ke kab likhe se hi hua koi kisi ka 'amir' aap khud ke bhi hue khud ko gawara kar ke