narghe mein ghataon ke raha hai na rahega khurshed mohabbat ka chhupa hai na chhupega ho jate hain nakaam khirad-mandon ke fitne sar-e-ahl-e-junun ka na jhuka hai na jhukega tum kyun ho pareshan ki taqdir ka likkha duniya ke mitane se mita hai na mitega tarkash se takabbur ke jo itra ke chala hai wo tir nishane pe laga hai na lagega talim-o-hunar hi wo khazana hai jo ab tak daulat ke luteron se luta hai na lutega ho jata hai fauran jo pasheman khata par nazron se azizon ki gira hai na girega mansab jahan zalim ke asar mein ho wahan par mazlum ko insaf mila hai na milega hajat se ziyaada ki talab sab ko hai 'talib' qismat se siwa phir bhi mila hai na milega