khaksari thi ki bin dekhe hi hum khak hue aur kabhi marka-e-fath-o-zafar dekh na pae us ne dekha hai to phir dekhna kya ho jae dekhte rahna hai zalim ko idhar dekh na pae be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na pae ho gae khwahish-e-nazzara se be-khud itne dekhna chahte the us ko magar dekh na pae kab use laut ke dekhenge ye dekha jae hum ne duniya to bahut dekh li ghar dekh na pae log jab dekhne par aae to itna dekha aankh pathra gai aur had-e-nazar dekh na pae wo bhi kya dekhna tha dekhne wale bole jalwa har-chand raha pesh-e-nazar dekh na pae dip jalte rahe taqon mein ujala na hua aankh paband-e-tahayyur thi udhar dekh na pae ye tayaqqun nahin hota tha kidhar dekh sake ye tayyun nahin hota tha kidhar dekh na pae wo taghaful tha ki us ne hamein dekha hi nahin wo tasahul tha ki hum us ki nazar dekh na pae is qadar tez chali ab ke hawa-e-na-bud chah kar shahr-e-tamanna ka khandar dekh na pae yun hua dil-zadgan laut gae aakhir-e-shab raat to jag ke kati thi sahar dekh na pae kis ne dekhi hai ujalon se sulagti hui raat aur jo dekh sake khwab-e-sahar dekh na pae