nargisin aankh bhi hai abru-e-khamdar ke pas dusri aur bhi talwar hai talwar ke pas dushmanon ka meri qismat se hai qabu mujh par yar ke pas hai dil yar hai aghyar ke pas yaad rakhna jo hui wada-khilafi un ki bistara aan jamega teri diwar ke pas qaidi-e-zulf ki qismat mein hai rukhsar ki sair shukr hai bagh bhi hai murgh-e-giraftar ke pas chehra bhi barq bhi dil lene mein gesu bhi bala ek sa moajaza hai kafir o din-dar ke pas ghair be-jurm hain aur main hun wafa ka mujrim kaun aata bhala mujh se gunahgar ke pas qabr mein soenge aaram se ab baad-e-fana aaega khwab-e-adam dida-e-bedar ke pas us ki kya wajh mere hote wahan kyun na rahen kyun rahe zulf-e-siyah aap ke rukhsar ke pas hoshiyari se ho 'parwin' chaman-e-husn ki sair dam aur dana hain donon rukh-e-dil-dar ke pas