us ne hum ko jhil tarai aur pahad diye hum ne in sab ki gardan mein panje gad diye zanjiron mein jakdi us munh-zor hawa ne phir tod diye khidki darwaze par de phad diye shabnam shabnam moti bo kar aasha baithi thi lashkar aaya khet jalae ped ukhad diye ret bhari nahron ko dekho bahna bhul gain nafrat ki aandhi ne kitne shahr ujad diye hum to gili ret the jis ko raunda jaana tha us ne bhi kuchh naqsh banae aur bigad diye