narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun aisa koi sanam kahan jis ke liye ghazal kahun chand ko chehra-e-alam zakhm ko ek kanwal kahun dil mera chahta hai aaj aisi koi ghazal kahun taj-mahal ko marmarin jism ki ek ghazal kahun apni ghazal ko nur ka udta hua mahal kahun jugnu ho ya sitara ho ashk hai meri aankh ka mah-jabin ghazal ko apni koi ghazal kahun aap ki baat chhodiye aap to be-misal hain husn-e-jafa-shiar ko kyun na main be-badal kahun din hai farishta maut ka tegh-e-qaza liye hue gham ki siyah raat ko sar pe khadi ajal kahun rah-e-hayat pur-khatar naqd-e-hayat mukhtasar ishq ko be-asar kahun ilm ko be-amal kahun tul-e-shab-e-firaq se kam the khushi ke mah-o-sal wasl ki ek umr ko hijr ka ek pal kahun sach hai agar ki aadmi chand pe panw rakh chuka tare bhi tod sakta hai us ko bhi muhtamal kahun fikr ki ye nazakaten sher ki ye latafaten husn ka ek asar kahun ishq ka ek amal kahun sard ana ki kashmakash sham-e-firaq ban gai wo hai agar ba-zid to kya 'raaz' ko bhi atal kahun