ab kisi ko nahin mera afsos jaan kar ye bahut hua afsos dukh nahin ye jahan mukhalif hai sath apne nahin khuda afsos lad ke barbaad ho gae jab hum sath mil kar kiya gaya afsos jab bhi khushiyon ne dar pe dastak di samne aa khada hua afsos hum faqat jang hi nahin haare hausla bhi bikhar gaya afsos ek ghazal aur ho gai hum se sher koi nahin hua afsos aap ko main ne thes pahunchai main ne behad bura kiya afsos khub-surat bahut nazar aae jab mera dil nahin raha afsos mujh ko khud par yaqin nahin jaanan tum ne mujh par yaqin kiya afsos main ne baqi nahin rakha kuchh bhi aap ne kuchh nahin kiya afsos tu hai sharminda ilm hai lekin tu nazar se utar gaya afsos aadmi tu 'siraj' achchha tha itni jaldi guzar gaya afsos fatiha padh ki phul rakh mujh par aa gaya hai to kuchh jata afsos us ne barbaad kar diya mujh ko us ko is ka nahin zara afsos mujh ko tum par bahut bharosa tha tum ne mayus kar diya afsos ai khuda hai hasin teri duniya par mera ji uchat gaya afsos