narmi-e-baalish-e-par hum ko nahin bhati hai dam-e-shamshir pe sar rakkhen to nind aati hai kya buri khu hai meri bhi ki ba-in dawa-e-aql main bhi jata hun wahan jaan jahan jati hai na-qubul itna hun murde ko mere baad-az-marg gor mein rakkhen to mitti bhi nahin khati hai husn dekha hai magar hind ki taswiren ka laila bazar mein shakl apni jo badlati hai na bachega koi hargiz jo hai rukh ki ye safa na jiyega koi mutlaq jo ye khush gati hai khair-salla se nasim-e-sahari ghar jawe kar ke zikr-e-rukh-e-gul kyun mujhe pitwati hai sitam-baad-e-khizan se jo koi gul ki kali shakh par khushk ho rah jati hai murjhati hai be-kasi apni ka aalam mujhe aa jae hai yaad ki gareban mein mera sar yunhi jhukwati hai 'mushafi' ki koi ummid to bar la ya-rab! muddaton se ye tere dar ka munajati hai