khanjar-ba-kaf wo jab se saffak ho gaya hai mulk in sitam-zadon ka sab pak ho gaya hai jis se use lagaun rukha hi ho mile hai sine mein jal kar az-bas dil khak ho gaya hai kya jaanon lazzat-e-dard us ki jarahaton ki ye jaanon hun ki sina sab chaak ho gaya hai sohbat se is jahan ki koi khalas hoga is fahisha pe sab ko imsak ho gaya hai diwar kohna hai ye mat baith us ke sae uth chal ki aasman to ka wak ho gaya hai sharm-o-haya kahan ki har baat par hai shamshir ab to bahut wo hum se bebak ho gaya hai har harf bas-ki roya hai haal par hamare qasid ke hath mein khat namnak ho gaya hai zer-e-falak bhala to rowe hai aap ko 'mir' kis kis tarah ka aalam yan khak ho gaya hai