narmi hawa ki mauj-e-tarab-khez abhi se hai ai ham-safir aatish-e-gul tez abhi se hai ek taza-tar sawad-e-mohabbat mein le chali wo bu-e-pairahan ki junun-khez abhi se hai ek khwab-e-tairan-e-bahaaran hai us ki aankh tabir-e-abr-o-baad se labrez abhi se hai shab-tab abhi se us ki qabaon ke rang hain ek dastan jabin-e-guhar-rez abhi se hai guzri hai ek rau mizha-e-khwab-nak ki dil mein lahu ka rang bahut tez abhi se hai aaina le ke kho gai umr-e-nawa-khiram taza-e-rukhi ka mod bala-khez abhi se hai mubham se ek khwab ki tabir ka hai shauq nindon mein baadalon ka safar tez abhi se hai ek taza mohr-e-lab se junun mangta hai naqsh jumbish labon ki silsila-amez abhi se hai shayad ki mahramana bhi utthe teri nigah waise teri nigah dil-awez abhi se hai