naqshe usi ke dil mein hain ab tak khinche hue wo daur-e-ishq tha ki bade marke hue itna to tha ki wo bhi musafir-nawaz the majnun ke sath the jo bagule lage hue aai hai us se pichhle pahar guftugu ki yaad wo khalwat-e-visal wo parde chhute hue kyun ham-nafas chala hai tu un ke suragh mein jis ishq-e-be-gharaz ke nishan hain mite hue ye mai-kada hai is mein koi qaht-e-mai nahin chalte rahenge chand subu dam kiye hue kal shab se kuchh khayal mujhe but-kade ka hai sunta hun ek charagh jala ratjage hue meri wafa hai us ki udasi ka ek bab muddat hui hai jis se mujhe ab mile hue allah-re faiz-e-baada-parastan-e-pesh-rau nikle zamin se shisha-e-mai kuchh dabe hue main bhi to ek subh ka tara hun tez-rau aap-apni raushni mein akele chale hue