naseh ye nasihat na suna main nahin sunta bak bak ke mera maghz na kha main nahin sunta ahwal mera dhyan se sunta tha wa-lekin kuchh baat jo samjha to kaha main nahin sunta us but ne jo ghairon pe kya lutf to yaro mujh se na kaho bahr-e-khuda main nahin sunta kuchh zikr mein zikr apna main laya to wo bola bas baat ko itna na badha main nahin sunta shikwa se hi karta jo koi us se mera zikr tu kahta hai har ek ka gila main nahin sunta 'mehnat' ko hai ye zoaf ki kuchh apni haqiqat kahta hai wo mujh se to zara main nahin sunta