kashish-e-husn ki ye anjuman-arai hai sari duniya tere kuche mein simat aai hai dard ne khoe hue dil ki jagah pai hai ek bala sar se gai ek bala aai hai jaan nisaron ko sahaara jo na jine ka mila ku-e-qatil mein qaza khinch ke le aai hai main chhupata hun gham-e-ishq to banta nahin kaam aur kahta hun to goya meri ruswai hai jigar o dil mein taraazu na ho kyun nawak-e-naz is ko donon se barabar ki shanasai hai dil ye kahta hai wahan ja ke sambhal jaunga main ye kahta hun ki bad-bakht ki maut aai hai ban ke naseh wo ye kahte hain mohabbat na karo mujh ko marne nahin dete ye masihai hai sab jise dagh-e-dil o zakhm-e-jigar kahte hain wo mere nakhun-e-gham ki chaman-arai hai kya hai duniya mein numud aur numaish ke siwa zindagi hum ko tamashe ke liye lai hai ishq ruswa-kun-e-alam wo hai 'ahsan' jis se nek-namon ki bhi bad-nami o ruswai hai