nash us aashiq-e-nashad ki uthwane do ab use zer-e-zamin chain se so jaane do dil bahal jae to tanhai ki kulfat bhi mite shab-e-furqat ki balaon ko to aa jaane do sainkadon gauhar-e-nayab to paida honge chand jhaale meri aankhon se baras jaane do be kafan phenk hi dena mere lashe ko magar kucha-e-pak mein mahbub ke mar jaane do liye baitha hun bayaban mein pahlu khali kya milae hain junun tu ne ye virane do mai ki hajat na kabhi mujh ko rahi ai saqi khun se labrez hain un aankhon ke paimane do shama-ru jaan bhi hui dil bhi hua tujh pe fida jal gae ishq ke hathon se ye parwane do sath mere dil-e-nashad hai tanha main nahin aae hain dar pe shah-e-din tere diwane do sath us zulf ke uljhe na hamari qismat ab ise tum dil-e-sad-chaak se suljhane do hoga pur-nur siyah-khana hamare dil ka is mein tum ghaus-e-khuda ko zara aa jaane do rah chuka dair-o-kalisa mein bahut muddat tak ai junun su-e-haram ab to mujhe jaane do un ke fiqron mein na aaenge ye sachche aashiq waiz aae hain jo samjhane to samjhane do fakhr hai naz hai us par to 'jamila' mujh ko tum sag-ku-e-jamali mujhe kahlane do