shokh kahta hai be-haya jaana dekho dushman ne tum ko kya jaana shola-e-dil ko naz-e-tabish hai apna jalwa zara dikha jaana shauq ne durbash-e-ada ko us ki mahfil mein marhaba jaana us ke uthte hi hum jahan se uthe kya qayamat hai dil ka aa jaana ghar mein khud-raftagi se dhum machi kyunke ho us talak mera jaana puchhna haal-e-yar hai manzur main ne naseh ka muddaa jaana mai na utri gale se jo us bin mujh ko yaron ne parsa jaana shikwa karta hai be-niyazi ka tu ne 'momin' buton ko kya jaana