nasha-e-ishq mein sarshaar hain kis ke uske

nasha-e-ishq mein sarshaar hain kis ke us ke
muntazir aane ke har bar hain kis ke us ke

chaaragar chaaragari teri na kaam aaegi
chashm-e-bimar ke bimar hain kis ke us ke

kaam dozakh se nahin aur nahin jannat se gharaz
han magar talib-e-didar hain kis ke us ke

wo to parda mein hai surat nahin dikhlate hain
sainkadon phirte kharidar hain kis ke us ke

kuchh tadapte hain sisakte hain kai hain behosh
sab ye jaanbaz talabgar hain kis ke us ke

mubtala jurm mein hum hain to tujhe kya zahid
hum khatawar gunahgar hain kis ke us ke

go gunahgar hain rahmat ka bharosa kar ke
ab to jate sar-e-darbar hain kis ke us ke

qaid-e-mazhab se jo chhute gae aazad ai shaikh
dam-e-ulfat mein giraftar hain kis ke us ke

apni qismat ka gila kijiye kis se 'be-gun'
dur-az saya-e-diwar hain kis ke us ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close